Gazab Ka Hai Yeh Din - from Sanam Re (2016)

Hoo.. uuu.. ye e e mm..

Chal pade hain hum, aisi raah pe
Befikar hue, ke ab jaana kahan
Laapata hue, saare raaste
Dhoondega humein, yeh zamana kahan

Yeh samaa hai kaisa, Muskurane jaisa
Dheemi baarishein, hain har jagah
Ho.. Yeh nasha hai kaisa, Doob jaane jaisa
Jaagi khwaishein, hain har jagah

[Gazab ka hai yeh din, Gazab ka hai yeh din
Gazab ka hai yeh din dekho zara] (x2)

Hoo.. uuu.. ye e e mm..

Paani hoon paani main, Haan behne do mujhe
Jaisa hoon waisa hi, Rehne do mujhe
Duniya ki bandishon se, Mera naata hai kahan
Rukna theharna mujhko, aata hai kahan

Yeh samaa hai kaisa, Muskurane jaisa
Dheemi baarishein, hain har jagah
Yeh nasha hai kaisa, Doob jaane jaisa
Jaagi khwaishein, hain har jagah

[Gazab ka hai yeh din, Gazab ka hai yeh din
Gazab ka hai yeh din dekho zara] (x2)

Ho.. Neeli hai kyun zameen, Neela hai kyun samaa
Lagta hai ghaas par, Soya hai aasman
Yeh mastiyaan meri, Manmaniyaan meri
Lo mil gayi mujhe, Aazadiyaan meri

Yeh samaa hai kaisa, Muskurane jaisa
Dheemi baarishein, hain har jagah
Yeh nasha hai kaisa, Doob jaane jaisa
Jaagi khwaishein, hain har jagah

[Gazab ka hai yeh din, Gazab ka hai yeh din
Gazab ka hai yeh din dekho zara] (x2)

Chal pade hain hum, aisi raah pe
Befikar hue, ke ab jaana kahan
Laapata hue, saare raaste
Dhoondega humein, yeh zamaana kahan

Yeh samaa hai kaisa, Muskurane jaisa
Dheemi baarishein, hain har jagah
Yeh nasha hai kaisa, Doob jaane jaisa
Jaagi khwaishein, hain har jagah

[Gazab ka hai yeh din, Gazab ka hai yeh din
Gazab ka hai yeh din dekho zara] (x2)

Hoo.. uuu.. ye e e mm..
Hoo.. uuu.. ye e e mm..

Post a Comment

0 Comments