Pashmina dhaagon ke sang
Koi aaj bune khwaab aise kaise
Waadi mein goonje kahin
Naye saaz yeh rawaab aise kaise
Pashmina dhaagon ke sang
Kaliyon ne badle abhi yeh mizaaj
Ehsaas aise kaise
Palkon ne khole abhi naye raaz
Jazbaat aise kaise
Pashmina dhagon ke sang
Koi aaj bune khwaab aise kaise
Kachhi hawa kachha dhuaan ghul raha
Kachha sa dil lamhe naye chun raha
Kachhi si dhoop kachhi dagar phisal rahi
Koi khada chupke se keh raha
Main saaya banun, tere peeche chalun
Chalta rahoon
Pashmina dhaagon ke sang
Koi aaj bune khwaab aise kaise
Hmm…
Shabnam ke do katre yun hi tahal rahe
Shaakhon pe woh moti se khil rahe
Befikra se ik dooje mein ghul rahe
Jab ho judaa khayalon mein mil rahe
Khayalon mein yun yeh guftagu
Chalti rahe.. oo..
Paani mein goonje kahin
Barsaat lagataar
Aise kaise aise kaise
Aise kaise, aise kaise
Aise kaise..
0 Comments