Akira (2016) Purza Lyrics

Ek rishta hai uss rishte ka
Main naam jaanu na
Ek rasha hai uss raste ka
Anjam jaanu na

Bas Itna hi hai pata
Ki ho gayi hai khata
Main khud ka na raha

Main purza purza tera
Main purza purza tera
Na aadha pauna tera
Main poora poora tera (x2)

Main bhi aadah khoya sa hoon
Tu bhi aadhi khoyi si
Kya pata ki poore ho jayein
Hum milke ek dooje se

Thodi thodi mujhko tu hai
Hogayi zaroori si
Kya pata ki poore ho jaaye
Hum milke yun..

Shikwa hai rab se zara
Jabse hua tu mera
Main khud ka na raha

Main purza purza tera
Main purza purza tera
Na aadha pauna tera
Main poora poora tera..

Dil ke band darwazoo ko
Khat khata ke dekha hai
Koi bhi nahi iss ghar mein
Kamra kamra tu hi tu hai

Khidkiyo se mann ki jhanke
Sham si teri aankhein
Ab kaha main baaki mujhmein
Bas tu hi tu hai

Kaisa nasha sa hai yeh
Kaisa tamasha hai yeh
Main khuda ka na raha..

Main..
Purza purza tera
Main purza purza tera
Na aadha pauna tera
Main poora poora tera..

Tera.. O..
Poora tera...

Purza purza tera..
Purza purza tera..

Post a Comment

0 Comments