Kaisa yeh karwaan.. Kaise hai raaste..
Khwaabon ko sach karne ke liye
Titli ne saare rang bech diye
Khwaabon ko sach karne ke liye
Titli ne saare rang bech diye
Saara sukoon hai khoya
Khushiyon ki chahat mein
Dil yeh seham sa jaaye
Chhoti si aahat mein
Kuchh bhi samajh na aaye, Jaana hai kahaan..
Khwaabon ko sach karne ke liye
Titli ne saare rang bech diye
Khwaabon ko sach karne ke liye
Titli ne saare rang bech diye
Alfaaz saanson mein hi, Aake bikharte jaayein
Khamoshiyon mein bole yeh, Aankhein bezubaan
Parchaiyaan hai saathi, Chalta hi jaaye raahi
Koi naa dekhe ab toh, Zakhmon ke nishaan
Kuchh bhi samajh na aaye, Jaana hai kahaan..
Khwaabon ko sach karne ke liye
Titli ne saare rang bech diye
Khwaabon ko sach karne ke liye
Titli ne saare rang bech diye
Na roshni hai koi, Aashaayein khoyi-khoyi
Toota foota hai yeh, Ummidon ka jahaan
Naa bakaraari koi, Bandish rihaai koi
Abb to nigaahon mein na, Koi intezaar
Kuchh bhi samajh na aaye, Jaana hai kahaan..
Khwaabon ko sach karne ke liye
Titli ne saare rang bech diye
Khwaabon ko sach karne ke liye
Titli ne saare rang bech diye..
0 Comments