Bebas-o-majboor hu
Ranj-o-gham se choor hu
Besabab or bewajah
Yaar se kyun door hu
Maula yaar se kyun door hu
Mere maula, mere maula
Mere maula, mere maula, Mere maula..
Maula tu bata, kyun hai bhala
Mujhse meri kismat khafa
Naa karaar hai, naa sukoon hai
Kaisa ishq ka, yeh junoon hai
Maula mere maula, Mere maula..
Main bhatakta phirta hu darbadar
Mujhe naa rahi khud ki khabar
Main bhatakta phirta hu darbadar
Mujhe naa rahi khud ki khabar
Barsaade ab apne karam
Barsaade ab apne karam
Maula kar reham, Maula kar reham
Maula kar reham, Maula kar reham
Maula kar reham, Maula kar reham
Gham-e-ishq ka maara hu main
Shabe hijra se haara hu main
Ho.. Gham-e-ishq ka maara hu main
Shabe hijra se haara hu main
Maula poori kar meri mannatein
Hain tabaah dil ki jannatein
Main bhatakta phirta hu darbadar
Mujhe naa rahi khud ki khabar
Kaise hai yeh ranj-o-alam
Kaise hai yeh ranj-o-alam
Maula kar reham, Maula kar reham
Maula kar reham, Maula kar reham
Maula kar reham, Maula kar reham
Aa.. Aa.. Aa.. Aa..
Aa.. Mujhe yaar ka deedar de
Yaa jeete jee mujhe maar de
O.. Mujhe yaar ka deedar de
Yaa jeete jee mujhe maar de
Mere dil ki hai yahi iltejaa
Maula sun bhi le meri duaa
Main bhatakta phirta hu darbadar
Mujhe naa rahi khud ki khabar
Meri aahon ka rakhle bharam
Meri aahon ka rakhle bharam
Maula kar reham, Maula kar reham
Maula kar reham, Maula kar reham
Maula kar reham, Maula kar reham..
0 Comments