Bas ek chingaari se aag lagti hai
Woh chingaari toh soyi hai
Tere hi seene mein
Zamaana jaisa hai
Use waisa hi rehne de
Bataao naa maza hi kya
Hai aise jeene mein
Bas ek chingaari se aag lagti hai
Woh chingaari toh soyi hai
Tere hi seene mein
Karta hai kyun shikayatein
Pehle sudhar aadatein
Ik ik boond se hi banta hai samandar
Khud pehla kadam utha
Khud apni kasam toh khaa
Tujhko pataa nahi
Khuda hai tere andar
Nakamiyo ke bahane hazaaron hai
Kiska kusoor kahein
Par zimmedaari hamari bhi banti hai
Itna zaroor kahein
Jo ho raha hai
Wo aankhon ke aage hai
Nazrein kyun pher le hum
Apne iraado se manzar badalne ka
Sar pe suroor rahein
Mere yaara mera yaara sunle
Dil ki pukaar zara..
Sachhaiyaan saari nazdeek hai tere
Jo dhoondhe to
Milengi wo tujhe aaine mein
Zamana jaisa hai
Use waisa hi rehne de
Batao naa maza hi kya
Aise jeene mein
Karta hai kyun shikayatein
Pehle sudhaar aadatein
Ik ik boond se hi bantha hai samandar
Khud pehla kadam uthaa
Khud apni kasam toh khaa
Tujhko pata nahi
Khuda hai tere andar
Tujhko pata nahi
Khuda hai tere andar
Tujhko pata nahi
Khuda hai tere andar..
0 Comments