Jeena Marna (Female) Lyrics - Do Lafzon Ki Kahani(2016)

Yaraa..
Yaraa..

[Kyun itno mein tujhko hi
Chunti hoon har pal
Kyun tere hi khwaab
Ab bunti hoon har pal] (x2)

Tune mujhe jeene ka hunar diya
Khamoshi se sehne ka sabar diya
Tu hi bharosa zindagi ka
Tu hai mera haunsla

[Mujhe jeena sikha diya
Marna sikha diya
Teri wafaaon ne
Insaan bana diya] (x2)

[Bandhne lage hai
Rishton ke dhaage
Tere mere darmiyaan
Thode sukoon mein rehne lagi hain
Yeh meri bechainiyaan] (x2)

Tu hi bharosa zindagi ka
Tu hai mera haunsla
[Mujhe jeena sikha diya
Marna sikha diya
Teri wafaaon ne
Insaan bana diya] (x2)

[Tere khayalon mein ho gayi ghum
Yeh meri tanhaiyaan
Ab rooh meri karne lagi hai
Teri nigehbaniyaan] (x2)

Tu hi bharosa zindagi ka
Tu hai mera haunsla
[Mujhe jeena sikha diya
Marna sikha diya
Teri wafaaon ne
Insaan bana diya] (x2)

Post a Comment

0 Comments