Rooh se behti huyi dhoon ya ishare de
Kuch mere raaz tere raaz awara se
Kho gaye hum kahan
Rangon sa ye jahan (x2)
Tedhe mede raaste hain
Jaaduyi imaaratein hain
Main bhi hoon tu bhi hai yahaan
Khoyi soyi sadkon pe
Sitaron ke kandhon pe
Hum naachte udte hain yahaan
Kho gaye hum kahan
Rangon sa ye jahan (x2)
So gayi hain ye saanse sabhi
Adhoori si hai kahani meri
Phisal jaaye bhi toh darr na koi
Ruk jaane ki zaroorat nahi
Kagaz ke parde hain
Taale hain darwazo pe
Paani mein doobe huwe
Khwab alfazon ke
Kho gaye hum kaha
Rangon sa ye jaha (x2)
Tedhe mede raaste hain
Jaaduyi imaaratein hain
Main bhi hoon tu bhi hai yahaan
Khoyi soyi sadkon pe
Sitaron ke kandhon pe
Hum naachte udte hain yahaan
0 Comments