Dhuaan hai dhuaan zindagi
Ek khwaab jal gaya
Taara jo chamka tha kal
Andhero mein ghul gaya
Raat andheri-andheri rahi
Ik subah mili thi
Kahin kho gayi
Baat adhuri-adhuri rahi
Main jahan se chali thi
Wahi hu khadi
Kya ghazab ka yeh khel khela
Waqt yeh kya kar gaya
Khwaab banke aaya tha tu
Yaad banke reh gaya
Inn andheri galiyon ka ab
Dilkhta naa koi siraa
Toot ke tu gir gaya
Ek tu sitara tha mera
Roshani murjhaa gayi
Ummidein kumlaa gayi
Raat andheri andheri rahi
Ik subah mili thi
Kahin kho gayi
Baat adhuri adhuri rahi
Main jahan se chali thi
Wahi hu khadi
Kya ghazab ka yeh khel khela
Waqt yeh kya kar gaya
Khwaab banke aaya tha tu
Yaad banke reh gaya
0 Comments