Lamha lamha aankhon mei bahe
Chup rehke pal pal fisle
Haathon se magar kuchh kehke
Yaadein chhalti sapna banke
Aur kshitiz tak door kinaare
Jaise taare choti jugnu jaisi aasha
Ek dilaasa ek dilaasa
Lamha lamha aankhon mei bahe
Chup rehke..
Gumsum gumsum sehmi saansein
Chup rehke pal pal fisle
Dil ki dhadkan kuchh kehke
Thagne aaye ghor andhera
Aur kshitiz tak door kinaare
Aur naa haare poorab nab mein
Ek sitaara jag ujiyaara jag ujiyaara
Faili door tak zameen aur ooncha aasmaan
Mil rahe yahin, Kyun naa chhod chhad kar
Samay ko rok kar, Bas rahe yahin
Chhod ke dagar ghum hai disha jaise
Aur khojne ki bhi koi fikar nahi
Ek taar se baandhe rahe man ko
Aur bolne ki bhi koi wajah nahi
Chhalati agni, Purvar yeh dhara
Aur paani har pal karte
Praano mein srajan milkar hi
Kan kan judta banta jeevan
Aur hawaayein sab jag behti
Aazadi se ek dhara ke
Jan gan saare sab hi pyaare
Sab hi pyaare
[Aakash bhedkar, Sapne sametkar
Hua Savera] (x3)
0 Comments