Woh Jahaan - Rock On 2 (2016)

Neela akash jo ek smandar hai
Usmain kahin koi aesa sitara bhi hai
Jismai dusri ek duniya ho basi
Jismain ho jaagti zindagi 

Par humse alag humse juda
Ek Nissan bhi na ho Jahan dard ka
Jeena Jahan ho nahi muskil
Koi rota na ho chain khota na ho
Ho ye sabko yakeen koi tanha nahi
Na kahin toote kisi ka dil

Vo jahaan koi dukh na ho koi gum
Vo Jahaan palken na ho num
Dilon main ho na deevaren na duriyan
Vo jahaan pure ho armaan

Sabko ho ye pata sab dil main mohobbat ki ek gehri dhara bhi hai
Neele aakash mai koi aesa sitara bhi hai

Neele aakash ke is samander ka
Chand ki kasti main maine kiya hai safar
Dhondti ho agar tum jo duniyan haseen 
Vo duniya hai yaheen. Vo yaheen hai kahin

Ha magara uske chere par nafrat ki zurm ki
Ek dhool hai jam gayi 
Ha magar uske tan pe lipti lalach ki hai zanzeer to
Vo duniyan aate aate tham gayi
Uske chere se ye dhool hat jaye to
Uske tan se ye zanjeer kat jaye to
Dekhna phir yahan is zameen par hi hogi ye duniyan

Vo jahaan koi dukh ho na ho koi gum
Vo jahaan palken na ho num
Dilon main ho na deevare ho na dooriyan
Vo jahaan pure ho armaan

Muskurati ho chero par ek roshni
Zindagi ho mahobbat bhari zindagi

Post a Comment

0 Comments