Aaur Main Khush Hoon - from Kahaani 2 (2016)

Mere haath mein hai chhuan mulayam Tere haath ki aur main khush hoon
Mere khwab mein Hissedariyan hai tere khwab ki Aur main khush hoon
Dard ko chhod ke aa rahe hain Hum khushi ke sheher jaa rahe hain Tez dhoop hai Par kami nahi hai humko chhaon ki Aur main, aur main khush hoon
Bas pyaar se chal jaayega Kharcha hamara, kharcha hamara Jo bhi mile mil baant ke Dono kar lenge guzara
Yeh nishaniyaan Hai nayi kahani ki shuruyat ki Aaur main khush hoon
Mere khwab mein Hissedariyan hain tere khwab ki Aur main khush hoon Aur main khush hoon
Suitcase mein humne hai baandha Saaman kam, armaan zyada Lambe safar ka hai iraada Khane ke liye baki rotiyan hai kal raat ki Aur main khush hoon
Mere khwab mein Hissedariyan hain tere khwaab ki Aaur main khush hoon
Dard ko chhod ke aa rahe hain Hum khushi ke sheher jaa rahe hain Tez dhoop hai Par kami nahi hai humko chhaon ki Aur main, aur main khush hoon Aur main khush hoon

Post a Comment

0 Comments