Yaara - from (2016) movie

Jaane kyun beimaan hai
Mera hi aaina

Mujhe pehchaane na
Kyun lage aaj khudse
Ye pehli mulakat hai

Chamkeela suraj toh hai utha
Phir bhi in aankhon mein ghoome
Kyun gehri raat hai

Kaisi hai ye roshni
Jo mujh tak aaye na
Haath badhaaye na
Nazrein milaaye na
Raat bujhaaye na

Kyun har chehre
Pe lage pehre

Yeh zameen deewaaron
Ke bina thi bani
Khud se khafa hai
Saara jahan
Naraaz hai, naraaz hai…

Hoo mann ke gehre se
Kamron mein dhoonda
Toh mile bhoole se darwaaze o..
O… khola toh dahleez pe
Khadi thi subah ki kiranein o..

Dhul gayi beh gayi sari siyahi
Ghuli hain muskaanein

Udaa man hawaa ban
Pehchaane na sarhadein
Hai saanjha sa noor ye
Saanjhi yeh rehmatein
Hum judaa toh na thhe

Wohi ghamon se hai
Wohi khushi se hai dosti
Ek si hai zindagi

Yaara hum nahi, ajnabi
Ajnabi toh hum nahi
Dhadke seene mein
Yeh dil toh hai wohi

Yaara hum nahi, ajnabi
Ajnabi toh hum nahi
Mitti se sab bane
Wohi rooh toh hai bhari

Yaara ham-watan
Ya ham-mazhab
Ya ham-zabaan hum na sahi

Yaara iss zameen
Pe hi ho jannat
Yeh toh chaahein
Hum sabhi
Aa haath mila…

Rap:
Honge sab ek aaj
Ek jaan jazbaat
Saath haath mil baat
Pyaar ka yeh saugaat

Waqt phekne ka hathiyaro
Waqt girane ka deewaro
Ek auzaar jo andhere ko
Karde roshan aur sirf pyar ho

Khudse kyu sawaal
Jab khud main hi jawaab mere yaar
Kyun na baate zindagi
Mein pyaar jeele aaj

Kyun hai kyun hai
Sach se anjaan kyun hai
Hum sab mein ek jaan hai
Sab pehle insaan hai

Yaara hum nahi, ajnabi
Ajnabi toh hum nahi
(yaara, yaara)
Dhadke seene mein
Yeh dil toh hai wohi
Yaara hum nahi

Post a Comment

0 Comments